Wednesday, 16 September 2020

rice is not profitable in some area/block cause of 3 phase electricity connection (agricultural connection)

Ram Ram sabhi Kisan bhaiyon ko dekho aaj ke time mein agar kisi Kisan ke khet mein Bijli connection nahin hai jisse vah apni irrigation kar sake to use rice ki farming karne ka koi matlab nhi h koi fayda nahin hai kyunki agar uske pass connection nahin hai to vah simple si baat hai ki generator ya FIR koi diesel engine ka use Karega jisse vah apna sansadhan chla ke Pani fasal ko dene ke liye majboor hoga to isliye Jo Rajasthan sarkar hai Rajasthan mein rice kam hota h.
 rajasthan ka naam aate sidha desert ya dryland area show hota hai aur isi Rajasthan mein agar apan 2 district ki baat karte hain Ganganagar aur Hanumangarh jaha per bahut jyada area mein rice ka cultivation hota hai aur acha production hota hai so Punjab mein har Kisan ke khet mein light hai sabhi ek hai per Rajasthan mein nahin hai kyunki jagruk nahin the unhone file nahin jama karwai aur isliye vah piche rah Gaye to kisano ko hi samajhne ki baat hai agar apan 1 hectare mein matlab 4 bigha mein Rajasthan ki baat a rahi hai to char bighe(1hectare) aur Punjab ki baat ho rahi hai to ek hectare matlab 2.5 acre. UN kisanon ko zero budget kharche wali kheti karni chahie ab dekho ek bheege ke andar agar 10 se 12 quantal rice ho raha hai aur agar uske pass 10 bigha jameen hai to vah Kya Karega vah uska production so se 120 contal tak hi le sakega agar acchi paidawar Hui. generator Lagaega jiska dedh lakh rupaye kam se kam kharch hai use vah motor chalaega motor ka kharcha, maintenance, labour ka kharcha hai to vah yahi sochkar wo easy way mein uski farming kare to unhen koi aatmhatya nahin karni padegi aur koi KCC ka budget ka load nahin uthana padega, Par abhi last mein jab uska hisab Karta hai to usmein usko loss hota hai to usko agar vah 5 lakh ki fasal a Raha to usmein se 250000 ka to diesel kharcha aa jata hai aur Baki labour,maintenance, ghar ka bhi kharcha hota hai to wo kahan uske paise pure Karega, agar uske paas connection hai unit ka jo kharcha kam a raha hai to theek hai acchi baat hai,Varna possible nahin hai yah Rajasthan ki baat isliye kar raha hun kyunki m khud Rajasthan se Hu, Punjab mein log electricity ka connection hai pr aj ki new generation mein changes aane Lage Hain,logo mein fark dikhne Lage koi viklang hai koi kaise paida ho rahe hain Rajasthan mein fir bhi yah chij kam hai, Pani waste jyada ho raha hai Rajasthan mein pani Mana jaaye to pani hi hai Jahan per pani hai to vahan per life hai uski jagah per, agar dusri Jo kam Pani le wo fasal bhi lgai jaaye to profitable hai bahut se Kisan dikhava karne per aa jaate Hain ki hamare chawal hota hai Mana ki acchi baat hai ki chawal wali jameen hai per usko aap advantage Lo uska disadvantage mat lo hamare pass irrigation ka shauk nahin hai, aap narma beej Lo Jaise cotton,till, Bajra Ho Gaya jisse Pani bhi kam use ho or kharcha bhi kam aye.
Kisan itni si chij ko soch kar chalega ki hamen zero budget kheti karni hai tabhi success Ho payega Sarkar kuchh nahin kar sakti, Sarkar kya karegi aaye do Guna karegi to karenge to utna kharcha bhi hoga theek hai uska price mil sakta aapko aur use chij ka jo lagat hai us se bhi jyada aaegi, profit Ho per lagat bilkul Na aaye, abhi ho sake survive kar sake. Apne bacchon ko bhi padha sake, Ghar chala sake.

No comments:

Post a Comment

How we start poultry farm in field

 राम-राम सभी किसान भाइयों को जैसा कि आप जानते हैं आज के टाइम में भारतीय किसान पोल्ट्री फार्म डेरी फार्म मछली फार्म बटेर पालन बतख पालन आदि यह...